vo jo ham meiN tum meiN


oh this ghazal can so easily make you think about time gone by. you can just read the words, listen to them in the voice of many Ghazal singers who sang this…. and then just get lost…

wo jo ham meiN tum meiN qaraar thaa, tumheiN yaad ho k na yaad ho
vahii yaanii vaadaa nibaah kaa, tumheiN yaad ho k na yaad ho

vo naye gile vo shikaayateiN, vo maze maze kii hikaayateiN
vo har ek baat pe rooThnaa, tumheiN yaad ho k na yaad ho

suno zikr hai kaii saal kaa…koii vaadaa mujh se thaa aap ka
vo nibaahane kaa to zikr kyaa, tumheiN yaad ho k na yaad ho!

vo jo lutf mujh pe the beshtar, vo karam k haath mire haath par
mujhe sab hai yaad zaraa zaraa, tumheiN yaad ho k na yaad ho!!!!

jise aap ginte the aashnaa, jise aap kahte the baa-vafaa
maiN vahii houN ‘momin-e-mubtala’ tumheiN yaad ho k na yaad ho

Momin Khan Momin


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *