unki aaNkhoN se chhalak jaate haiN paimaane kaii


Here’s a ghazal that I also recited in a mushaira that took place in Montreal.  The Ghazal got a lot of applauds, thankfully and was well received by the audience there.

1.
unkii aaNkhoN se chhalak jaate haiN paimaane ka’ii
raat hii raat meiN ban jaate haiN afsaane ka’ii!

2.
ik faqat terii hii dil_jo’ii ne kuchh kaam kiyaa
varnaa aaye the mujhe log to baihlaane ka’ii!

3.
jaan-e-man, tere shabistaaN ke sivaa duniyaa meiN
haiN har ik moR pe veeraane hii veeraane ka’ii!

4.
shorish-e-dehr! mujhe chhoR! mujhe jaane de!!
dekhte hoNge miraa raasta maikhaane ka’ii!

5.
gham-e-dauraaN bhi, gham-e-dil bhii, gham-e-hastii bhi!
zindagii teraa bhalaa ho! tire nazraane ka’ii!

6.
nahiiN miltaa to bas ik tuu nahiiN miltaa yaa rab!
yuuN to duniyaa meiN masaajid ka’ii butkhaane ka’ii!!

aur ab maqtaa arz hai

7.
terii ulfat ka fasaanaa bhi ajab hai “tanhaa”
tera ko’ii bhii nahiin! us ke hain deevaane ka’ii!!

06/17/2004

,

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *