Some ash’aar by Munawwar Rana
siyaasi aadmi ki shakl to pyaari nikaltii hai
magar jab guftagoo karta hai chingaari nikaltii hai
laboN par muskuraahaT dil meiN bezaari nikalti hai
baRe logoN meiN hi aksar ye beemaari nikalti hai
——
balandi der tak kis shaKhs ke hisse meiN rahtii hai
bahut uuNchii imaarat har ghaRi Khatre meiN rahtii hai
bahut jee chaahtaa hai qaid-e-jaaN se ham nikal jaayeiN
tumhaari yaad bhii lekin isi malbe meiN rahtii hai
ye aisaa qarz hai jo maiN adaa kar hi nahiiN saktaa
maiN jab tak ghar na lauTooN meri maaN sajde meiN rahtii hai