rahi haiN daad-talab unkii — Ghazal – JaaN Nisaar Akhtar


A lovely Ghazal by JaaN Nisaar Akhtar

rahii haiN daad-talab unkii shauKhiyaaN ham se
adaa shanaas bahut haiN, magar kahaaN ham se
[daad-talab = wanting praise, adaa-shanaas = those who can appreciate beauty]

sunaa diye the kabhi kuchh Ghalat-salat qisse
voh aaj tak haiN usi taraH bad-gumaaN ham se
[bad-gumaaN = mistrustful]

ye kunj kyoN na ziyaarat-gah-e-muhabbat ho
mile the vo inhiiN peRoN ke darmiyaaN ham se
[kunj = corners (streets) ziyaarat-gah-e-muhabbat = a place of pilgrimage of love]

hamiiN ko fursat-e-nazzaaragi nahiiN varna
ishaare aaj bhi karti haiN khiRkiyaaN ham se
[fursat-e-nazzaaragi = the time to look]

har ek raat nashe meiN tire badan ka Khayaal
na jaane TuuT gayiiN kaii suraahiyaaN ham se

na lafz hai, na kinaayah, na saut hai na sadaa
sakoot-e-shab ki na pooochhe koi zabaaN ham se
[lafz = words, kinaayah = nod, signs, saut = sound, noise, sadaa = voice
sakoot-e-shab = silent night]

hamaari qadr karo aie suKhan ke matvaalo
Ghazal ko kal na mileiNge mizaaj-daaN ham se
[suKhan = poetry]

,

One response to “rahi haiN daad-talab unkii — Ghazal – JaaN Nisaar Akhtar”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *